...

7 views

Ek ladki thi deewani si
ek ladki thi deewani si,
apni hi dhun mai khoi rehti thi,
n fikar thi use kal ki
vo bus aaj mai hi rehti thi,
pagal thi, jhali thi,
bindas or bold thi,
na kisi se darti thi
bus apno ke liye duniya se ladti thi,
dosto ki kash thi
apno ki vo jaan thi,
sab ki laadli vo sab se pyari thi,
vo deewani dost hamari thi.
n duniya ki batoo mai aati thi
na hi unki sunke leti thi,
mufatt thi vo, jo dil mai aaya bina dare bol deti thi,
vo bus apni duniya mai hi mast rehti thi,
ek ladki thi deewani si,
n jaane ku ab apni deewangi se dur rehti hai.
jo shor machaya karti thi
aaj chup, shant si rehti hai,
jo ghar ka loud speaker thi
aaj gum sum si rehti hai,
ek ladki thi deewani si
apni hi dhun mai mast rehti thi.
© tulsi parwal