...

4 views

Kanha dhundu aur kyun...
Kanha dhundu aur kyun...
Agar tum mil bhi gaye,
Ek Sharir me Kya tumse mil payungi me ?

Samayaki iss chotisi abadhi jise Jiban kehte hen,
Sthan ki ye choti so pariseema,
jise app Ghar ya sahar kehte hen,
Anant iss bramhand me na hone ke barabarsa ...

Par hum toh sirf Sharir nehi hum Atma hen
ansh uss paramatma ka...
Khayal sare mere, sirf mere toh nehi,
Wo toh awaz he tumhare Mann ka...

Aur humari Sharir chahe Alag ho,
duri ho sakegi inn me sada,
Par tum bhi aur hum bhi toh baithe hen Mahakaal ke samne,
Anant koti samayase,
chal rahi he unki puja,
Tum me aur mujh me ek hi tarha...

Phir tum kis Bhagban ke dwar khade ho,
Kiski aarati kar rahe ho kya farak padta.
Tum kounsi sahar me kya chun rahe ho,
Kya kha rahe ho kya farak padta.

Meri najarse dekho kabhi toh...
Sab sama rahe hen Mahadev me,
Tum Krishna kaho Ram kaho,
Maa kaho...
Swaroop Alag Alag le kar chal rahe ho jese
Mahadev hi...
Tum sakha, Bandhu, Bhrata kaho, dushman ya Guru kaho,
Pashu Pakshi ya koi phul kaho...
Jad, chetana ya koi kesi bhi ho,
Ya soonya hi,
Charachar iss sritshti ke kan kan me samaye hen...
Wahi toh hen tum me aur mujh me...
Wahi baithe hen moun har pal me,
Samaya ban kar bhi,
Sthan ban kar bhi...

© All Rights Reserved By RameswariMishra