...

17 views

WAQT.......
waqt poochta hai, tu etna ghamand kyu karta hai mujh par,
Main to vo hu jo bas Ek kabil ensan dhoondta hai ,
Jis din mujhe vo mil gaya main uska ho jauga,
Phir bhi tu mujhpar etna ghamand kyu karta hai,
Mujhe tu andha mat samajh, main sabko dekhta hu,
Kisme kya khasiyat hai, aur kisme kitni hebaniyat hai,
yeah sareaam dekhta hu,
jisme hebaniyat hai main usse door rahta hu, aur jisme khasiyat dikhi mujhe, main usi ka ho jata hu,
Phir bhi tu mujh par etna ghamand kyu karta hai ,
meri tulna to us bahte pani se ki gai hai jo Kabhi Ek kinare par thahar ta nahi hai,
jisme jab tak ensaniyat hai, tab tak main uska rahta hu, aur
jab ensan mein shaitan aa jaye to main usse door bhagta hu,
Phir bhi tu mujhpar etna ghamand kyu karta hai.
by Muskan savita
© All Rights Reserved