...

4 views

Kalam......
Amavas ki kaali raaton ko,
Ek deep prajwalit karta hai ,
Vo nidar akela chalta hai ,
Purnima ka chand chamakta hai, Ghatta hai vah badhta hai ,
Rudiyon ka ullanghan karta hai ,
Bhrashtachar se chotil samaj ka ,
Samarthya se rakshan Karta hai ,
Bhramit , durachari , adharmi ka ,
Vo margdarshan Karta hai ,
Sabdo ki mala ka but ,
Ahinsa ka dhwaj ban bikta hai ,
Waqt dava har jakhm kahe ,
Par iska war akharta hai ,
Rakt dawaat mein bharke ,
Jab Satya ki Bedi chadhta hai ,
Jo hriday shastra na bhed saka ,
Shaastra mutthi mein bhichta hai ,
Man ki komal mitti per,
Ek kalam ka ikka chalta hai....



© saumya