...

1 views

Tera ghar tera shahar teri galiya yaad aati hain

Alaap hoooaaaaaaa
Tera ghar, tera shahar, teri galiya, yaad aati hain.
Hava ki woh sargam, bagiyon ki jhunjhun, barsaton ki "cham" ki hume, awaj Aatin hain.

Laut jayenge hum wahin, dhund hi lenge unko hum kahin.
Laut jayenge hum kahin, dhund hi lenge unko hum kahin.

Antara-

Rahe kyun tumse dur hum itne Dino se.
Kyon gaye the tumko bhool hum itne Dino se.

Kyon tadpan ko dilon me chupaya tha hua
Kyon bhatkan ko dilon me basaya tha hua.

Banjaron se firte hain hum kahin bhi kahin.
Chain jaane Kyon hume hasil hai nahin.

Apni talashon se lagte hum vakif kyon nahin.

Tera sawarna, darwaje pe milna, najron se ki woh baaten Ankhen , Nam kr jaati hain.

Mile to dil ko sukoon, Chlo Karen to unko kubool, Taharne ko jeevan bhar Chlo hum laut jaate hain..

( Mukhra repeats )

Tera ghar, Tera shahar teri galiyan yaad aati hain.
Hava ki woh saragam, baggiyon ki jhunjhun, barsaton ki cham ki hume Awaj aatin hain..

Related Stories