...

44 views

Dharm ka bazar Hindustan
Dharm ka ye kaisa bazar Saja rakha hai
Har taraf Hindu musalman Laga Rakha hai

Kya is liye viro ne shahadat di thi
Ye kaisa Hindustan Bana Rakha hai
Saf hawa Pani bhi muyassar nahi ab to
Shahar Ko mout ka bazar Bana Rakha hai

Todte hai bhuk se dam yaha ab bhi bachhe
Huqumat ne ye kaisa Nizam Bana Rakha hai
Lut Rahi betiya har roj ek naye shahro me
Betiyo Ko Hawas ka saman Bana Rakha hai

Jise chuna tha hamne apni bhalai ke liye
Usi ne haal Bura Bana Rakha hai
Ab to dar lagta hai mujhe Apne muhafiz se
Dusmano ne use apna yaar Bana Rakha hai

Jine ka Naya tarika dhundo yaaro
Maout ka kyo hathiyar Bana Rakha hai
Ye galat hai wo sahi Mai sahi Hun wo galat ye sab kya Laga Rakha hai
Aao watan Ko waisa banaya jaye
Gandhi ne jaisa aankho me basa Rakha hai

Ye waqt gya to fir lout ke na aayega
Lad pade aapas me to mulk nahi chal payega
Fool to dur hai khusbu bhi na mil payega
Ram pahchan to Rahim gurur hai mulk ki
Labo pe Gita to Dil me Quran basa Rakha hai
©bejubaanshayar

#dharm#bazar#hindu#musalman#hindustan#betiyan#hawas#waqt#gita#quran#mrak