...

1 views

Majhdhaar..
le chla naw majhdhaar mai,
behte chalau chappu bina sajhedhaar mai,
pawan ki gati me chla chalata mai apna nauka,
socha khali hath na lautu na chordu aj koi mauka,
achanak kardki bijli ayi andhi ki kehar,
kale badal chaa gye bhari dopeher,
hilne lga nau ,socha ab kaha jau,
chappu aur jor se chlane lga,
par sidha nahi jakar ulta behne lga,
sambhalna muskil tha lga ab doob jayunga ,
pariwar intezar me tha ki achi rakam aj le aayunga,
unki soch himmat khud me aur jagai,
andhi ka mukabla kar chappu par dam aur laagai ,
isbar sidha naw jane lga,
andhi ka atank v thoda kam hone lga,
dheere dheere aise paucha mai apne kinara,
himmat aur dam se racha mai ye khel sara....
paucha mai kinara,
akhir himmat mai na hara...

-by Sneha Bhadra









© Sneha Bhadra