...

7 views

𝙼𝙰𝙰 𝙺𝙸 𝙼𝙰𝙼𝚃𝙰.. 𝙼𝙰𝙰 𝙺 𝙿𝚈𝚁
Usne janam dekar kitni mushkilo se sansar dikhaya hoga.
Khud se pahle mujhe, apne komal komal haatho se khana khilaya hoga.
Pyaar hai mujhe apni saari ungliyon se,
kyuki pta nhi konsi ungli pakad kar usne mujhe chalna sikhaya hoga.

Main khush rahu yahi to hain uski aas.
Jaruri nahi h mere liye roza aur upwaas.
Kuch bigad nahi sakta mera.
Kyuki ma ki dua hai mere saath.

Mujhe khush dekh, mann hi mann khush hua karti hain.
Ishwar to sirf janam deta hain, hifazat to maa ki dua karti hain.

Har badi cheez maa ke samne chhoti h.
Mujhe dukhi dekh uski mamta roti hain.
Ab samajh me aa gya na, maa to maa hoti hain.
@𝓡𝓪𝓼𝓱𝓲𝓭𝓡𝓮𝓱𝓪𝓷✍