Mera Sahara
Ghazal
Tera Khayaal Hi Ab To Mera Sahara Hai
Tumhari Yaadein Shab O Roz Ka Guzara Hai
Ajab Hi Haal Mein Dooba Hua Mera Dil Hai
Kisine Door Se Shayad Mujhe Pukara Hai
Usi Ko Sochte Rehne Ka Hai Chalan Mera
Usi Ka Saamne Mere Sada Nazara Hai
Wahi To Inteha Hogi Hawaas Ki Mere
Mujhe Wo Itna Hi Keh De Ke Ye Hamaara Hai
Tere Ye Talkh Se Lehje Ko Mai Samajhta Hoon
Mufaraqat Ka Ye Shayad Mujhe Ishaara Hai
Unhi Ki Yaad Me *Karmi* Guzaar Loon Ye Hayaat
Jinhone De Diya Mujhko Boht Khasaara Hai
Moiz Raza Karmi, Al-Hind
© MoizRazaKarmi