...

5 views

Pyar ka iszhar...
U aai tum is kadar meri zindagi mein..
U aai tum is kadar meri zindagi mein,
Sab kuch badal diya kuch shadon mein,
Savar di zindagi kuch is tarha,
Jiska kabhi mujhe kuch khawab hi ni tha,
Phale toh tha suljha hua,
Ab ulajh gaya hoon tumhari in zulfon aur bahon mein,
Na sulajhan chahata hoon na nikalna,
Bas khawish yahi hai ki lipat jau tere seene se,
Wo tera ghussana tera chillan jo mujhe hai kabhi kabhi rulata,
Lekin tera mujhe apni bahon mein le k chup karana aur smzana mujhe hai atyant bhata,
2 varsh apke sath kuch is tarha nikle mano ho chand palon ki mulakat,
Aane wale varsh ab niklenge is tarha jaise ho saloon ka intezar,
Rahoonga mai hamesha apke hriday mein apke sath,
Jb chahiye ho mera sath tb bs kr lena mujhe yaad,
Ho jaounga prakat kuch palon mein,
Bhula doonga duniya k sare gum aur apreshani le k apni bahon mein,
Pyar krta hoon aur krta rahoonga apse itna,
Bs jatane k liye kam pad jate hai shabd,
Lekin koshish hoti hai puri,
Aur apke milne pe ho jata hai ikrar
dekh k apka pyar...