...

3 views

Woh Pyara Bachpan Mera!!!

Doston, mummy aur papa ke saath
Guzra tha mera woh bachpan bindass
Thaame rakhe the doston ke haath
Jab bhi khadi mili museebath pass

Subhe ghar choda toh dupher lote
khel koodh khushiyan se bachpan beethe
Majak chalai un pe jo the rothe
Phir maafi bhi maang li seedhe saadhe

Dinon ki nadhi ruki hi nahi
Ki padhai keliye bhi waqt nahi
Fikar nahi kisi bhi kabze ki
Kyonki pyaar toh sabne sabse ki

Kaise din hai aaj kal chalte
Saare rishte matlabi lagte
Dua hai Yar ab waqt laut Jaye
Aur darwaaze pe khade mera bachpan mil Jaye

Wahi doston, mummy, Papa
Wahi chota sa ghar mera,
Zamane ke dar se kaafi door
Pal mein khil jaye dil ka noor...
© Shahi Thaniya 615 :)