...

0 views

Lo maan liya....
Lo maan liya....
Chalo toh aaj mai tumhari sabhi baatein maanta hu lekin shart itni hai ki mai aaj bhi bus tumhe hi apne liye maangta hu
Haa mai maanta hu tumhari woh sab baatein jisme tum mujhse mera haath maanga karti thi jyada kuch nahi mere saath hokar bhi tum humesha mujhse anjaan bana karti thi
Haa mai maanta hu woh saari saugatein jo tum mujhe diya karti thi bin maange kuch tumse tum mujhe sab kuch diya karti thi
Haa mai maanta hu ki mai tumhe kabhi samjha nahi haath thaam kar chalti thi tum kisi aur ka aur mai tumhe uske saath dekh sakta nahi
Haa mai maanta hu ki maine tumhe kabhi samjha nahi mushkilon me tumhari maine kabhi tumhe akela chhoda nahi
Haa mai maanta hu ki maine tumhe kabhi suna nahi bin bole tumhe kabhi gale se apne maine lagaya nahi
Haa mai maanta hu ki maine tumse muhabbat kari hi nahi aitbaar chahti thi tum aur maine kabhi aitbaar kara nahi
Haa mai maanta hu ki maine tumhe kabhi roka nahi dil ne mere naam pukaarte pukaarte tumhara tumhe kabhi alvida bola nahi.....
© All Rights Reserved