...

7 views

Hifazat
Khatm ho gayi insaniyat yahan , ya waqt ne sab Badal diya
Yugon tak puje jane wali naari k saath Kaisa yeh hasr hua..
Na nikal Saki woh bahar, aur ghar pe rehna muhaal hua
Kaise huye hum azaad yahan, jahan jeena v dushwar Hua...
Uss dafa v chup rahe sab, kya iss baar v usse jaane doge
Saalon tak muqaddama kar, kya apne andhe hone ka saboot doge..
Arrey jisne gunaah karne m waqt na lagaya, tum uske baare soch rahe ho
Uss darinde ko maarne se pehle kya tum hazaar baar jhijhak rahe ho ..
Aakhir kab tak chalega aisa, ki aurat ko sab sehna padega . .
Usske hisse ki hawas k khatir apna sab lutana padega
Kya fir uthaoge sawal uske qirdaar pe, ya usse kamzor qarar doge
Uske chhote kapdon par ilzaam laga kar, tum apne zameer ko maar doge
Kya thi galti uski, kya lakeeron m uske yehin likha tha
Koi bataye usko ja kar, uska aurat hona kya gunah tha... ??

© Preet

#wewantjustice #rapecases #justiceforrapevictims