...

6 views

meri ma
ma ye shabd hai chota bolne mein aasan hai
tha mera ye lafz pehla jiske na koi saman hai

daman tera pakde pakde mein yahan tak aa gayi
waqt ka pata hi nahi chala aur ma kehlane ki meri baari bhi aa gayi

dhoop chanv garmi aur sardi sab tere anchal mein hai guzarre
kaise kabhi ye chota na pada jabki isse batane wale hain kai sarre

chehre par muskan liye tu adig si rehti hai
kaise kar pati hai sab ye paheli sulazh nahi pati hai

mamtamayi roop hai tera aaj tujhe naman mein kar jaun
koshish karti hun tatpar kuch to tere jaisi ban paun

@ritz