...

2 views

Wo jo nahi tha
wo kab mila, pata nhi
usne kya kiya, pata nhi
kucch din baad, dikha nahi
dil pe apna naam, likha liya
par usne bahut kucch, sikha diya.

mai alag hu, ye to bata diya
par sath mera diya nahi
mai uski hu, ye to jata diya
par sath mera diya nahi

mere hath pe hath to tha, uska
par uske man me khyal tha kiska
kisne aise use majboor ,kiya
ki usne sab kuchh bhula diya.

wo raat bhar baatein krna,
wo has ke milna , sath chalna
jaise pani me doodh kisi ne mila diya
mere kis baat ne use khafa kiya.

mai jaisi hu, waisi rahun
ye baat to sikha diya
auron ki tarah mera fayda to liya nahi
phir kyu usne sath mera diya nahi.

mujhe kudh se to mila diya
gam ko khushi me badalna sikha diya,
kathin raaste pe chalna to sikha diya
par us raaste pe sath usne diya nahi.

kon tha wo, hava ya nadi
jo pass hote hue bhi mila nahi.
badh chala uss or
jis ka pata mujhe pata nahi.

wo sapna tha ya hakeekat
ye to mujhe pata nahi
par jo bhi tha
usne mujhe kudh se mila diya
usne mujhe jeena sikha diya.


© rishika