...

7 views

Kia hota agr?
Jo nahi kismat mein wohi chaha tha mainy,
Jo kismat mein hota to kia hota?
Nahi Woh shakhs apna magar to kia,
Agr woh apna hota to kia hota?
Mana k kuch waqt Ka sath tha magr,
Woh hamesha ka hota to kia hota?
Khuaab dekha tha jo usy paany Ka mainy,
Woh haqeeqat hota to kia hota?

© Maham Ejaz