...

7 views

Bas wahi to bachpan hai...
" Wo sunahra safar, jab ham thoda hairaan hote hain, thoda pareshan hote hain...
jis khoobsurat daur se ham anjaan hote hain,
kitni bhi karo sharaartein jahan Kam hai...
Bas wahi to bachpan hai...
wo pal jab sab acche lagte hain, sab sacche lagte hain,
ham baccho ke sath bade bhi bacche lagte hain...
koi dikhawa nahi, sab vastav me Magan hain...
Bas wahi to bachpan hai...
Na chintaaon ka mela lagta hai, na pareshaniyon se pala padta hai,
kyoki uss umra me hme hmare bado ka sahara milta hai,
baat uss daur ki hai jab har paristhiti me muskurate ham hain...
Bas wahi to bachpan hai...
muskurana kitna aasaan hota hai, aur rone se kahan nuksaan hota hai,
pal bhar me badalta hai man,
man bhi tab kitna aggyaan hota hai,
jis umar me har ghadi chanchal hmara man hai...
Bas wahi to bachpan hai..."

© nainshi anand