...

1 views

Agar Maine Kuch Galat kiya to btana
Har koi uske kaano ke jhumke ko, jhumka keh raha tha,
Aur,Maine unn jhumko ko chaand keh diya,
agar maine kuch galat kiya hai to batana

Wo chalti thi to kadam uske zameen par padte the,
Maine unn kadamo ke niche phool rakh diye,
agar maine kuch galat kiya hai to batana

Har jagha hota, ab usi ka tasawwur tha,
To, Maine apne aaine par bhi uski tasveer rakh li,
agar maine kuch galat kiya hai to batana
© AQUIB Ashrafi