Yeh Zamana
Jo lamha hai, jo aalam hai
Use beet jaane do
Jo kashti chhori hai tumne paani mai
Use bheeg jaane do
Phulo ki mehek
Pakshi ki chehek
Pal yeh ab raha nahi
Waqt gaya hai theher
Samjh ke pareh ho gaya sama
Kya galat kya sahi
Jhinjhor kar rakh diya hai sabko
Kaid zindagi ke iss kohre ne
Dikhaayi nahi par rhaa aage safar ke raste
Ruk mod liya hai humse zamaane ne
Ban chuki hai zindagi ab santap ka samah
Na chahte hue bhi bhaari hai mann
Lagti nahi yeh chah hai ab
Ki kare dil ka haal bayaan
Guzar jaayega lamha, ek din guzrenge hum bhi
Chahte puri hui bhi na ho
Phir bhi yeh shauk se kehenge
Haa; Jee li hai maine Zindagi...
© soumi's_here
Use beet jaane do
Jo kashti chhori hai tumne paani mai
Use bheeg jaane do
Phulo ki mehek
Pakshi ki chehek
Pal yeh ab raha nahi
Waqt gaya hai theher
Samjh ke pareh ho gaya sama
Kya galat kya sahi
Jhinjhor kar rakh diya hai sabko
Kaid zindagi ke iss kohre ne
Dikhaayi nahi par rhaa aage safar ke raste
Ruk mod liya hai humse zamaane ne
Ban chuki hai zindagi ab santap ka samah
Na chahte hue bhi bhaari hai mann
Lagti nahi yeh chah hai ab
Ki kare dil ka haal bayaan
Guzar jaayega lamha, ek din guzrenge hum bhi
Chahte puri hui bhi na ho
Phir bhi yeh shauk se kehenge
Haa; Jee li hai maine Zindagi...
© soumi's_here