Aaj Kal
Ghazal
Kar Rahe Hai Jis Tareeqe Se Muhabbat Aaj Kal
Jaise Apne Hi Usuloon Se Bagawat Aaj Kal
Log Karte Hai Muhabbat Nam Hi Ke Waste
Aisi Ulfat Ba'As E Sharm O Qabahat Aaj Kal
Laakhon Aashiq Ishq Mein Hai Dil Fareebi Ke Shikaar
Aur Usme Laakhon Ummeed E Basharat Aaj Kal
Karke Za'i Naujawani Ghoomte Hai Fakhr Se
Humne Dekhi Naujawanon Ki Jasarat Aaj Kal
Jis Tarah Se Keh Rahe Ho Hum-Nasheeno Ko Bura
Kar Rahe Ho Apne Aiboon Ki Asha'At Aaj Kal
Hukmarani Teri Hogi Ibn E Aadam Sun Zara
Pehle Karle Apni Nazron Ki Hifazat Aaj Kal
Dil Ko *Karmi* Apne Tu Duniya-Parasti Se Bacha
Saaf Karle Apne Dil Se Ye Himaqat Aaj Kal
Moiz Raza Karmi, Al-Hind
© MoizRazaKarmi