...

3 views

Woh lamhe kahan hai....
Woh lamhe kahan hai....
Aaj fir tumse kuch puchna chahta hu mai apni adhuri dastaan aey muhabbat ke kuch jawaab aaj fir tumse maangta hu mai
Kya tum mujhe bata sakti ho ki kahan hai woh lamhe jab tum aur mai saath hua karte saath dekh kar hume ek duje ke ye duniya bhi raakh hua karti thi
Kya tum bata sakti ho kahan hai woh lamhe jab raaton raat humari baatein hua karti thi bin bole kuch mere tum mere dil ki har dhadkan me bhi apna naam suna karti thi
Kya tum bata sakti ho ki kahan hai woh lamhe jab tum mujhe chah karti thi duniya se naata tod tum bus mera haath thaama karti thi
Kya tum bata sakti ho mujhe ki kahan hai woh lamhe jab tum mujhe apna kaha karti thi jab puchta koi mere baare tum man hi man muskuraya karti thi
Haa toh kya tum bata sakti ho ki kahan hai woh lamhe jab meri baatein tumhare saath hua karti thi har subha meri tumhare naam toh raat tumhari baaton ke saath hua karti thi
Mujhe pata hai tum nahi bata sakti ki woh lamhe kahan gaye shayad tum toh aaj bhi wahi ho lekin tumhari nazron me hum hi tumhare liye anjaan ban gaye....
© All Rights Reserved