...

16 views

Kon Karta Hai?
Haqeeqat Jaan kar aisi himaqat kon karta hai?
Bhala befaiz logo se mohhabat kon karta hai?
Batao Jis Tizarat mein Khasara hi khasara ho,
Bina Soche Khasare ki tizarat kon karta hai?
Humein Hi Galat Fehmi thi kisi ke waaste warna,
Zamano ke Riwaazo se bagawat kon karta hai?
Khuda ne sabr karne ki humein Taufeeq Bakshi hai,
Arey ji bhar ke tadpao, Shikayat kon karta hai?
© A.Nabeel