...

46 views

Munajaat
Apne kisi amal pe sahara hi nahi hai
Tauba kiye bagair guzara hi nahi hai,

Sunta bhi hai sawal wo,
Deta bhi hai jawab.
Ghafil hai tu,
ke dil se pukara hi nahi hai.

Apne kisi amal pe sahara hi nahi hai
Tauba kiye bagair guzara hi nahi hai.

Har zaaviye se dekha jaha tak nazar gayi,
Rehmat ka uski koi kinara hi nahi hai.

Apne kisi amal pe sahara hi nahi hai
Tauba kiye bagair guzara hi nahi hai.

Ghafil kiya hai aisa hawas ne jahan ki,
Jo saap nafs ka hai wo mara hi nahi hai

Apne kisi amal pe sahara hi nahi hai
Tauba kiye bagair guzara hi nahi hai.

Aisa hai kon alam e fani
jo zindagi ke khel me hara hi nahi hai.

Apne kisi amal pe sahara hi nahi hai
Tauba kiye bagair guzara hi nahi hai.

© Unknown


© AnasHusain