...

7 views

kya mera ye bhul jana uchit hoga...
main sochta hoon kabhi kabhi
ki kya bhulu kya yaad rakhun
kyunki mujhe na acha anbhav
bhulta hei na bura anubhav
na wo log jinki wajah se mujhe
wo anubhav huye,na wo haalat
jinki wajah se mera mn khush
ya dukhi hua ya mujhme badlaav aaye..

sochta hoon ki
kya mera yah bhul jana uchit hoga
ki kisne mujhe takleef di,
aur kaun meri hansi ka karn bna,

kya mera yah bhul jana uchit hoga
kisne mere bhrose ka fayda uthaya,
aur kis ne mujhe jeene ka naya rasta dikhya,

kya mera yah bhul jana uchit hoga
ki jb mere dil ne dhdkne se bhi mna kr diya tha tb kisne mujhe jine ki wajah...