...

1 views

Pyar Aur Ego ❤️
Suno
Dekho mujhe nhi pata mai galat hu ya sahi hu
Ho sakta hai mai kahi kahi par galat hu
Magar iska ye matlab ki tum har jagah sahi ho
Kahi mai galat hu to kahi tum bhi galat ho
Ya fir ho sakta hai hum dono hi galat ho
Shayad Hum cheezo ko samjh hi nhi pa he hai
Kyo ki Kabhi bhi Koi Bhi insaan hamesha perfect nahi hota hai
Har insaan ke under kuchh na kuchh kami hoti hai
Its just a natural things
Dekho insaan se galti hoti hai galti hona koi badi baat nahi hai
Magar galti ko na mana ye bahut badi galti hai

Dekho agar mai galat hu to mai apne galtiyo ko accept karta hu
Aur jab Tumhe pata hai tum galat ho to apni galtiyon ko kyo accept nhi karte ho ..?
Apni galtiyon ko accept karne wajah
tum apni galtiyon ko chupate ho ya fir ulda mere par blem kar det ho
Shayad Tumhe lagata hai agr tum apni galti accept kar loge to
Tumhara self respect down ho jayega ,
Yaar yaha par tumhara self respect nhi , tumhara Ego aa rha hai
Aur tum apne Ego ko self respect samajh rahe ho

Tumhara Ego hurt na ho iske chakkar me
Hamere rishte ke bheech jo darare paida ho rhi hai iska kya …?
Is ego ke chakkar me hum ek dusre kitne dur ho rahe hai iska kya ..?
Is Ego ke chakkar me tum mujhse kai din tak baat tak nahi karte ho
Tumhe tumhara ego nazar ata hai , hamara pyar hamara rishta nazar nhi ata
Tumhe pata haina humane apne rishte ko kitni mehnat se banaya hai
Agr aisa hi raha to sab khatam ho jayega sab barbaad ho jayega ek din
Kyon ki

Payar aur Ego ke bheech 36 akada hota h
Jada Ego hota hai
Waha pyar nahi hota hai
Aur jaha payar hota hai
Waha Ego ke liye koi jagah nahi hoti hai
Kyo ki pyar me kabhi kabhi jhukana bhi padta hai
Pyar me halato ke hisab se apne aap ko arjest karna hota hai
Aur Ego hai ki hame kabhi jhukne nahi dega
Na hi kabhi kisi cheez ko samajhne ki koshish karega

Isliye ya agr pyar karte ho to Ego ko bhul jao
Agr Ego rakhe ho pyar ko bhul jao


#rjvishwakarma #poetrycommunity #relationships
© R J V I S W A K A R M A