...

22 views

Tu aur Main
Gar kitab ho tum to kahani hu main
tu mane na mane tujhme samayi hu main
gar phool ho tum to khushbu hu main
tumse hi aur tujhme bikhri hu main
gar dharti ho tum to baarish hu main
falak se girke tujhme simti hu main
gar sagar ho tum to rait hu main
aahista aahista tujhme ghulti hu main