Aalam E Khayaal
Ghazal
Shama Ke Paas Aye Logo Faqat Parwane Aate Hain
Muhabbat Karne Walo Ke Qaree(n) Deewane Aate Hain
Use Dekha Use Parkha Use Chaha Use Mana
Magar Mere Nasibon Me Sabhi Tadpane Aate Hain
Muhabbat Dekhli Humne Zamane Bhar Ke Logon Ki
Hamari Qismaton Me Wo Faqat Behlane Aate Hain
Kisi Makhsoos Ke Dil Ko Hi Chaha Hai Mere Dil Ne
Wagarna Mere Jeevan Mein Boht Anjane Aate Hain
Jise Maine Kaha Tumse Mujhe Behad Muhabbat Hai
Wahi Mere Khyalon Mein Mujhe Tarsane Aate Hain
Pareshan Dil Ko Aye Karmi Manane Ki Yeh Saazish Hai
Khayalon Mein Tabhi Mere Kai Maikhane Aate Hain
Moiz Raza Karmi, Al-Hind
© MoizRazaKarmi