...

4 views

kaafi nahi?
Rangin aasman, pankhio ka udna,
Hath me chai, sath me sathi,
Chahe suryoday par ya suryast par
Kya sirf rango ka hona hi kaafi nahi?

Pyaar ek ehsaas hai, ek jadoo hai
Gazal hai, soor hai, sab kuch hai
Chahe sath ho yah na ho
Kya pyaar ka zinda hona hi kaafi nahi?

Sitaro ki toh khud ki roshni hai,
Unka tutna, rehna, chale jana
Chahe punam ho ya amavasya
Kya taaro ka timtimana hi kaafi nahi?

Muskurahat se tasvir badal jati hai
Ankho ki chamak, gaal gulabi
Chahe chutkule se ya gudgudi se
Kya haste rehna hi kaafi nahi?

Zindagi ek paheli hai, ek kavita
Ek khel, ek kitaab hai
Chahe hum chune ya khuda likhe
Kya bharosa rakhna hi kaafi nahi?
© All Rights Reserved