...

21 views

MUSAFIR
Woh zindagi hain kya , jisme sangharsh na ho .
Woh zindagi hain kya , jisme kabi har na ho.
Rooz girna , phir uthna .
Sab kuch theek karne ka jazba .
Ek bar phir asmaan mein udhne ka sapna .
Har rooz ek nayi jang .
Itna aasan nahi yaha tikna .
Itna aasnan nahi khud ko rokna.
Itna aasan nahi sab kuch aapne andar rakhna ,
Itna aasan nahi sab kuch jaante huye bi khamosh rehna .
Phir lagta h , jaha aane ke liye itne muskilo ko gaale lagaya tha ,
Tu thora sabar rakh,
Ek din phir sab theek ho jaye ga .
Sabar aur waqt se phele kuch nahi mil paye ga .
Tu musafir hain , bas chalta chal.
Manzil bi milegi ,
Aur milne ka maza bi aaye ga .
Jitna muskil ho ga raasta , utni hi quadar tu manzil ki kar paye ga .
Kuch sooch kar hi khuda ne tujey is raaste ka musafir bnaya hoga .
Aitbar rakhna khuda pe jab be tu dagmag aaye ga .
Yuhi nahi khuda ne tujey musafir bnaya hoga .






© Mridul