...

7 views

Jeevan sch nhi balki sapna hai
Jeevan sch nhi balki spna hai,
bdlaav ka raasta iska apna hai
Krm hi sbke bhavisya ki rachna hai
Samaye hi jiski kamaan hai
Kyuki Jeevan sch nhi balki spna hai

Moh, aakrsaadh raag, dwesh hi jiski duniya hai
Sflta - asflta ki sidhiya eska nitya swaroop hai
Prakrti hi jiska astitv hai,
Manushya, jeev - jantu jiske ang hai
Kyuki Jeevan sch nhi balki spna hai

Sundrta hi jiska rang hai
Jnm - mrtyu hi jiska sanatn dharma hai
Paap - punya hi jiski seema hai
Praasnnta ki chah dilati jinko viyog hai
Kyuki Jeevan sch nhi balki spna hai

Avsthaao ke jin palo me,
Balak ka mn saaf hai,
Yuvao ka mn visuddh milavat me vaas hai,
Prodho ka mn dhukh, chintaao se hataash hai
Kyuki Jeevan sch nhi balki spna hai

Aaj bsnt ki laali hai to kl ki seet tithorne wali hai
Mehekti seetl hawao me khi saanti ka ahesaas hai to..
Uthti tufaani hwao me khi Karudha bhre vatavran ki aahat hai
Kyuki Jeevan sch nhi balki spna hai

Fareb or chalava jis stranj ki chaale hai
Jhoothe pyaar ko sch ka libaas pehnaane vale yha diwaane hai
Klpanaao ke sahare jis ghr ki neev khadhi hai
Hakikat ke bina hi en ghro ki chat bni hai
Aakihr ye Jeevan sch nhi balki spna hai. 🙏 🙏