...

16 views

Solitude
Duniya meri alag nahi
bas, sab se door hai.

Zyaada baat karna pasand nahi
aur unhe lagta hai ke mujhe ghuroor hai.

Jaata hun bahar kabhi kabhi

Par wapas aa jaata hun
ye dekh kar
ke duniya ka abb bhi wahi dastoor hai.


Banna chahta hai sab ke jaisa dil mera
par dimaag ke haathon majboor hai.

"Kyun aise alag rehta hai sab se?" Poochta hai dil mera.
"Kya karun inn jaisa ban ke?" ka sawaal waapas paata hai.


Mujhe aise hi rehne dene waalon ki kami nahi
Par kuch keemti log bhi maine paayein hain.

Bas inhi ke liye hain mere efforts saare
Kyun ke inhone kabhi apne efforts nahi ginaayein hain.