...

3 views

Zindagi ki kitab
#zindagi

Kash zindagi sachmuch ek kitab hoti,
Padh sakta mai ki aage kya hoyega?
Kya pauga mai aur kya dil khoyega?
Kab thodi khushi milegi aur kab dil royega?

Zindagi ki kitab ka anuman to lga pata, Tb shayd khud ko aur thik se smjha pata,
Pta hota kon chlega char kadam or kon bhrosha todega?
Kab milegi taliyaan aur kab khamoshi me dil khoyega?

Kash zinadgi sachmuch kitab hoti,
Fad sakta mai un lamho ko jinhone
mujhe rulaya hai...
Jodta khuchh panne jinki yaadoin ne mujhe hasaya hai...
Akhir hisab to laga pata kitna khoya aur kitna paya hai...


© Skylar$p