...

4 views

Hamesa Tera Hi Rahunga Main
Mana av sath nahi rahonga main
Par apna dhyan rakhna tum
Mana av hasa nahi paonga main
Par khud hasna Sikh Lena tum

Mana yaad tum v krogi mujhe
Par roona mat tum
Mana bechain tum v hogi
Par chain apni khona mat tum

Mana mann toh tumhara v nahi lag raha hoga
Par pass mere av aana mat tum
Mana tumhe v mujhse pyar hai
Par av pyar jatana mat tum

Khush rehna tum mere Bina
Koi dikkat ho toh mere pass chale aana
Kal v main tera tha, aaj v main tera hoon
Aur hamesa tera hi rahunga main

@itsuniqueabhi