...

15 views

Pyar hai!!
Tumhari tarah pyar ka ehass nahi tha mujhe. Tumhari tarah pyar jatana bhi malum nahi tha mujhe. Tumhare bare mein sun kar yun halkese muskurana,
Tumahari har choti si baaton ko yaad kar dheere ase ansun bahana
Yehi sab tou chahti thi na main?

Aaj yeh baarish ki boonde kai khamosh yaadein taza karne ko phir aa gayi,
Iss bar tou maine thaan li thi," bus aab bohut hua, nahi karni yaadein taza, inn bonde ke mulayam si sparse ko nahi chuna hai aab mujhe", par yeh ziddi boonde, apne hi manmani mein hai, mujhe phir se pyar ki baatein batane lage, aur main pagli jhali bewakoof, unki baaton mein phirse aa gayi. Do boond asun barish ke inn shant boondon mein yun ulaj kar beh gaye ki mano barso purani dosti ko phir se ek naya mod mil gaya hoo

Yeh raat ki chuppi aur boondon ka shor
Maine khidki kholi, thandi hawa ko apne angan mein tashirf rakhne ko izzazat de di, jaise
Meri udasi ko mano dubara mauka mil gaya, meri chehre ko jakhne ka, bin mausam baarish se apne kisse baatne ka, jaise
Iss andhere raat ki suhani hawa dhun ban kar mere bechain dil ko shaant kar gayi,
Mere kanon mein halke se suna gaye unke udashiyon ki dastan

Magar pyar se mujhe yeh keh gaye, pyar aab bhi hai tujhme!!!

Related Stories