...

1 views

Tumhara Sach Kya Hai?
Tumhara sach kya hai?
Kya wo jo tum jante ho.
Ya wo jo tum mante ho.
Kya wo jo tumko bachpan se sikhaya gaya hai.
Ya wo jo tum sweekaar kar chuke ho.

❄❄❄❄❄❄❄❄❄❄❄❄❄

Jab adam aur havva ko kuchh bhi nahin pata tha.
Jab prem, irshya, pap, lobh kuchh bhi nahin tha.
Tab wo hi unka sach tha.
Par gyan ka seb kha ke unka sach badal gya.
Tumhara sach kya hai?

❄❄❄❄❄❄❄❄❄❄❄❄❄

Jab insan kandharaon me rehte the.
Bhukh mitane ke liye kachha bhojan karte the.
Ek din fir usne aag ki khoj kar li.
Aur unka sach badal gaya.
Tumhara sach kya hai?

❄❄❄❄❄❄❄❄❄❄❄❄❄

Sadak par bhikh mangta bachha.
Kadi dhup me kartab dikhata bachha.
Kude me padi roti uthakar khata bachha.
Yahi uska sach hai, jise wo janta hai.
Apna liya hai, aur ab use hi sach manta hai.
Tumhara sach kya hai?

❄❄❄❄❄❄❄❄❄❄❄❄❄

Ye dur tak faila vistar tumhara sach hai.
Ya dhuvan nikalti chimniyon me saans lena.

Kam ki daud bhag me khud ko bhulna tumhara sach hai.
Ya fursat ke do char pal khud k aur parivar k liye nikalna.

❄❄❄❄❄❄❄❄❄❄❄❄❄

Khair, mera maqsad nahin hai apko baton me uljhana.
Mera dhyeya hai apko apke sach se milana.

Mere khayal se apka sach apka hona hi hai.
Jo apko duniya ki sari khubsurati ko gale lagane ka mauka deti hai.

Apka sach apki atma hai jise apko kisi ko kuchalne nahin dena hai.

Apka sach apka vartmaan hi hai, jise ap bhavishya ke liye daav pe laga rahe hain.

Apka sach apka vishwas hi hai jo brahmand ki sari taqat aur urja ap me bharta hai.

❄❄❄❄❄❄❄❄❄❄❄❄❄

Apka sach apka hona hi hai, apka astitva hi hai, jisase bada koi sach nahin, koi majhab nahin.

Khud ko gale laga ke hi ap apne sach ko gale laga sakte hain.

Aur yad rakhiye ap apne sach ko hamesha badal sakte hain.

Isase pahle ap ko koi sach ka path padhaye, apne sach ko pehchaniye.

Jo ek bar pehchan liya, fir kisi ki na maniye.

❄❄❄❄❄❄❄❄❄❄❄❄❄