...

25 views

Zindagi ek Safar
Aea Zindagi sun to Zara
Thora theher jaa Zara
Mere Safar ko manzil ki talash hai
Biti baaton ko bhulane ki aas hai
Tujhko khul ke jine ki tamanna hai
Tujhko badal dene ki chah hai
Jo na ho saka us sachaiyi ko maankar khush ho kar aage badhne ki khwahish hai
Aab duk ke baadlo ko hatane ka samay hai
Har pal ko sukun se jine ki zarurat hai
Dukho aur jivan ke bhatkavo se dur hona hai
jivan ke lakhsya ki aur jhud Jana hai
Jo karya pehle adhura reh gaya tha
Uss adhurepan ko kamyabi se pura karna hai
Manobal ko ekjut Kar aapna punar nirmaan karna hai
Yeh toh suruwaat hai Zindagi ke Safar ka
Aage toh aur bhi mushkilo ka saamna karna hai
Thak kar bhala aaj tak bach hi kaha paya hai manushya
Yaha toh thak kar baithne Wala manushya kayar kehlata hai
Mahaan toh logo ko wohi dhikta hai Jo safal ho jaata hai.
Aantim Mei umid hum bhi yehi karte hai Zindagi se
Safal ho jaaye hamara jivan bhi
Kabhi kabhi kuch log galat phemi sa paal lete hai
Shayad hume wohi Durr karna hai.