...

10 views

Ek Maa Hai...
Ek maa hai jo maa banne se aj tak deti aa rhi hai
aur ek ye laachar zindagi jo hamesha bas leti hi aa rhi hai
Ek maa hai jiski mamta aj tak khatm na hui
aur ek ye zindagi jo kuch sawal krne pr ukhad jati hai
Ek maa hai jisne kabhi haq jata kr kuch manga hi nhi apne liye
aur ek ye laachar zindagi jo chah kr bhi kuch kr na saki unke liye
Ek maa si himmat b is dunia me kisi me nhi
lad jati hai bacche ki zara si takleef pr
aur nasamjh bacche keh jate hain ek pal me tumne kya anokha kiya
laanat hai aisi laachar zindagi pr, aise baccho pr
jo maa ki mamta , maa k aashirwad ka maan na rakh payein
apna doodh pila k pala jisne usko salam b na kr payein
Ek maa hai jo roye b to bacchon ko khabar na hone de
kahin aankh na khul jaye bacche ki geele me na sone de
baacha aj zyada ro diya kahin nazar to nhi lag gayi aur baccha hai k..
aur baccha hai k maa ko do roti izzat se ni de pata
aur to aur maa ki banayi roti ki izzat b ni rakh pata
biwi ko le jayega London Paris new York lekin maa ko mandir ni le jayega
kahin koi mandir me dekh liya to wo sharm se marr na jayega
kya nhi ho sakti biwi k pyar me thodi kami ??qki maa to hai sarvopari
Yaad rakh
tu kitna b atyachar kr lena ek maa pr
wo marte marte tab bhi aashirwad de jayegi
biwi ki do din burai kr dekh lena wo kutte ki maut marega tu yahi kehti nazar aayegi
Main aurat hoon aur aurat k khilaf nhi hoon
pr darr darr bhatakti jab bhi kisi vridh aatma ko dekhti hoon
koi katora liye, koi mandi sajaye, koi aankhon me nami liye kuda karkat uthaaye
aatma bilakh uthti hai
aur sawal krti hai
kya mila ae maa tujhe umar bhar ki tapasya k liye???
wo ek maa hai sab kuch has kr sehti hai
marte waqt b
main bilkul theek hoon wo haskr kehti hai
wo ek maa hai
wo ek maa hai.