...

2 views

โ€œ๐‰๐‡๐”๐“๐‡๐ˆ ๐ƒ๐”๐๐ˆ๐˜๐€ ๐’๐„ ๐ƒ๐Ž๐Ž๐‘โ€
๐˜๐ž๐ก ๐ค๐š๐ฏ๐ข๐ญ๐š ๐ฎ๐ง ๐ฅ๐จ๐ ๐จ ๐ค๐ž ๐ฅ๐ข๐ฒ๐ž ๐ก๐š๐ข ๐ฃ๐จ ๐๐ฎ๐ง๐ข๐ฒ๐š ๐ค๐ž ๐ฃ๐ก๐จ๐จ๐ญ๐ก๐ข ๐›๐š๐š๐ญ๐จ๐ง ๐š๐ฎ๐ซ ๐ง๐š๐Ÿ๐ซ๐š๐ญ ๐ฌ๐ž ๐๐จ๐จ๐ซ ๐ซ๐ž๐ก๐ค๐š๐ซ, ๐š๐ฉ๐ง๐ข ๐ค๐ก๐ฎ๐ ๐ค๐ข ๐๐ฎ๐ง๐ข๐ฒ๐š ๐ฆ๐ž๐ข๐ง ๐ฌ๐ก๐š๐ง๐ญ๐ข ๐š๐ฎ๐ซ ๐ฌ๐š๐œ๐ก๐š๐ข ๐ค๐ข ๐ญ๐š๐ฅ๐š๐ฌ๐ก ๐ค๐š๐ซ๐ญ๐ž ๐ก๐š๐ข๐ง. ๐ˆ๐ฌ๐ฆ๐ž๐ข๐ง ๐ค๐ก๐ฎ๐ ๐ฌ๐ž ๐ฆ๐จ๐ก๐š๐›๐›๐š๐ญ ๐š๐ฎ๐ซ ๐ญ๐š๐ง๐ก๐š๐ข ๐ค๐จ ๐ฌ๐š๐ฆ๐š๐ฃ๐ก๐ค๐š๐ซ, ๐š๐ฉ๐ง๐ž ๐ซ๐š๐š๐ฌ๐ญ๐ž ๐ฉ๐š๐ซ ๐œ๐ก๐š๐ฅ๐ง๐ž ๐ค๐ข ๐ค๐š๐ก๐š๐ง๐ข ๐ก๐š๐ข, ๐ฃ๐š๐ก๐š๐ง ๐ฅ๐จ๐ ๐จ๐ง ๐ค๐ž ๐ฌ๐ก๐จ๐ซ ๐ฌ๐ž ๐š๐ฅ๐š๐ , ๐š๐ฉ๐ง๐ข ๐ค๐ก๐š๐ฆ๐จ๐ฌ๐ก๐ข ๐š๐ฎ๐ซ ๐ฌ๐š๐œ๐ก๐š๐ข ๐ค๐ž ๐ฌ๐š๐š๐ญ๐ก ๐ฃ๐ž๐ž๐ง๐š ๐ก๐ข ๐ฌ๐š๐›๐ฌ๐ž ๐›๐š๐๐š ๐ฌ๐ฎ๐ค๐จ๐จ๐ง ๐ก๐š๐ข.

Logon ki jhuthi baaton se door rehta hoon,
Khud mein rehna, bas wahi pasand karta hoon.

Nafrat bhare rangon se alag rehta hoon,
Khud ke sang, dil ko sukoon deta hoon.
Jhoothi muskaan mein zindagi nahi jeeta,
Sach ke pal mein chhupi khushi dhoondhta hoon.

Nigaahon mein aksar chalti hai andhiyan,
Dil ke hisse mein sirf udasi ki kahaniyan.
Jhooti tasveeron ke peeche dard chhupata hoon,
Sach ke raaste pe bas akela suffer karta hoon.

Jhooti baatein jo dil ko chubh jaati hain,
Chup chap lamhon ko kabhi todh jaati hain.
Is dhokhe bhari duniya mein, tanhaayi apni hi hain,
Har ek musafir yahan, apni marzi ki kahani keh jata hain.

Apni duniya mein bas yunhi khoya rehta hoon,
Jhuth se door, apne khayalon mein jeeta rehta hoon.
Jo sach ke raaste par hai, wahi mera safar hain,
Logon ki duniya se door, khud mein mera ghar hain.

Dil ke kone mein, basi ek aawaz purani hain,
Yaadon mein bas wahi gehra qissa chuppa hain,
Har pal mein chhupi zindagi ki nayi kahani hain,
Par bechaini ki raaton mein, woh sadiyo se zinda hain.

Samay guzarta hai, par dard nahi dhalta,
Aankhon ke samne ek khwaab sa palta.
Khud se mohabbat hai, jo kabhi nahi badalta,
Par is khamoshi mein dil bhi hai jalta.

Log kya sochte hain, ab farak nahi padta,
Unki jhuthi muskaan mein sach chhupa nahi lagta.
Main apni raahon ka khud ban gaya tha qissa,
Par log toh khud ko dikhatey hai sacha.

Duniya ke shor se, main door rehta hoon,
Khud mein hi rehna, ab pasand karta hoon.
Logon ki baatein toh sirf ek dhundh hain,
Sach bas khud mein rehkar hi samjh aata hain.

Waqt ki aag mein mann kabhi kho jaata hai,
Dil ke raaz duniya ke bharm mein chhup jaate hain.
Main apni kahani ke har panne ko jeeta hoon,
Par logon ki duniya mein apni manzil dhoondhta hoon.

Aur yeh dard, yeh khamoshi, mera apna hain,
Logon se door, khud ke saath, yeh safar tanha hain.
Duniya ka rang badal gaya hai, par main wahi hoon,
Khud ke saath, apne sach ke sang, ab bhi sahi hoon.


โ€œ๐˜ฟ๐™ช๐™ฃ๐™ž๐™ฎ๐™– ๐™ ๐™š ๐™ง๐™–๐™ฃ๐™œ๐™ค๐™ฃ ๐™จ๐™š ๐™™๐™ค๐™ค๐™ง, ๐™ ๐™๐™ช๐™™ ๐™ ๐™š ๐™จ๐™–๐™–๐™ฉ๐™ ๐™๐™ž ๐™Ÿ๐™š๐™š๐™ฃ๐™– ๐™๐™–๐™ž๐™ฃ,
๐™†๐™๐™–๐™ข๐™ค๐™จ๐™๐™ž ๐™–๐™ช๐™ง ๐™จ๐™–๐™˜๐™๐™–๐™ž ๐™ ๐™ž ๐™ง๐™–๐™–๐™๐™ค๐™ฃ ๐™ข๐™š๐™ž๐™ฃ, ๐™–๐™ฅ๐™ฃ๐™– ๐™จ๐™–๐™›๐™–๐™ง ๐™ฅ๐™ช๐™ง๐™– ๐™ ๐™–๐™ง๐™ฃ๐™– ๐™๐™–๐™ž๐™ฃ.โ€

- ส™ส สœแด€ส€แด…ษชแด‹ แดŠแด€ษชษด. ยฉ
ยฉ Hardik Jain