...

16 views

Mazhab.... Ek Pehchaan.
[ Mazhab.... Ek Pehchaan. ]

Waise to is Bheed ka Hissa hoon
Ek ankaha sa main Qissa hoon...
Aur Jeene ki koshish mein main
Na jaane jitni Mout marta hoon...

Suraj ki pehli kiran k saath
Hota hai Shuru safar Mera
Surya ko Jal Arpan kar
Pandit ko Namaskaram karte dekha

Koi Shiv ling ko Doodh chadhata
Koi Pakwano ka bhog lagata...
Kalyug ki samjhdaari dekho
Pathhar ki murat ko, Insaan sa sajata...

Ek taraf awaaz Azaan ki thi
Ek taraf Mandir ka Dwaar khul jata...
Insaaniyat se zyada, Insaan
Mazhab ke is jaal mein phass jata...

Din ki baat ko zara Aage badhaye
Logon se zara pehchan banaye...
Pehle to sabne bada Hass kar apnaya
Jaise hi suna Naam, Humein apne se Door bhagaya...

Na jaane aisi kya baat hai Naam mein
Na jaane aisa kounsa maine Teer chalaya...
Ram kaha to Musalman Ne
Rahim kaha to Hindu ne sataya...

Yaad aata hai woh din
Jab sabne milkar Azaadi ka Tiranga lehraya
Us lamhe ne kisi ko Hindu ya Musalman nahi Banaya
Par Aaj, Mazhab ne is jaal mein hum sabko phasaya...

- By Aezz Khan (Rashid).
© Aezz खान...