...

2 views

bachpan ki yaadein
wo yaad hi hai jisne mujhe jinda rakha
ek baar fir se un palon ko jeene ka man
wo bench lage hue class
teacher ke samjhane aur daatne
ki goonjati aawaj mere kanon me
wo dosti wo badmasiyaan
teacher ke na aane tak class ko sant
rakhne ki jimmedariyan
kisi ne class me bahut ijjat di to kisi ne sammanit kiya mere us aatmnirbharta ko
bachpan me bhi ek samajhdaar insaan banne ka tajurba
khud me magn kitabon se dosti
sabse aage baithne ki jaldi teacher ki dulari banne ka saukh aur peeche ke mast bachhon se apne andar ki santi bachane ki kosis
masti ki umar me kuchh karne ka junoon kuchh pane ka jajba
pariwar ko fakra karwane ka ahsas
kuchh alag hi tha
unki chamakti huyi aakhein
aur muh se nikalta aashirwad
lagta tha jivan yahi hai kewal
aur kuchh nhi chahiye
khuchh milne ki khusi hoti thi to
kabhi uske na milne ka dukh bhi
us samay apne dard se jyada papa ki aankhein padhkar rone ka man karta tha
papa ka diya taufa aaj bhi saath hai mere
unki seekh jindgi me bade sapne rakhne
ka jajba haar kar fir uthne ki himmat
mammi ki pyar se samjhayi us seekh
aur kuchh manga hua wada
subah ki class dopahar ko saath khana
saam ko khelna aur raat ko papa ki kahaniyaan,nadaniyaan aur badmashiyan
daat khilane wali aaj achhi lagti hai
yu to samay chhota nahi tha wo
magar kaise beet gaya ..
bachpan me bade hone ka man
aur aaj bachpan ko khulkar jeene ka man
bachpan me papa ki aankhon me chamak aur khud par garva
kewal itne me hi rahti thi jindgi
kahte hai jeevan un chand palon ka mehman hai aur wo pal kab aakar chale jate hai hame khabar bhi nahi hoti
bachpan ke din bhi kuchh aise hi the
mauka hi nahi mila sochne ka..
agar wo pal aayega to kya karoongi
kewal karti chali gyi aur pal gujar gaya
laga khuchh samet nahi paayi us pal me magar aaj ahsas hota hai un palon me puri jindgi samet li hai maine
kuchh khusi ke pal to kuchh dukh ke bhi
achhe doston se milne ki kismat to unke bhichadne ka gam
kuchh hastiyon se seekhne ke wo din to kuchh bigadne ke wo mauke aur fir wapas sahi raston par laut aane ka tajurba kam waqt nahi hai ye bachpan ke din
khud me ek samandar hai jiska ant nahi hamare dil me dafan hoti hai ye yaadein
jab chahe ham kured sakte hai
mai un achhe aur bure dono yaadon ko
kuredna chahti hoon
jeena chahti hoon us pal ko
judge nahi ek mauka dena chahti hoon
mujhe koi sikwa nahi un bure palon se
kyuki mere sachhe sathi the wo
agar bachpan me na hote to aaj mai nahi
bure logon ka sukriyada karna chahti hoon jinhone jindgi ka matlab samjhaya
wo kitabein jo kewal class me 1st aane ke liye nahi jindgi kaise jeena hai batane ke liye the teachers mere parents mere dost
buddha ki soch aaj bhi achhi lagti hai
maths se dar ,science teacher ki mehnat geography history civics ki lecture
english mam ki mujh par wo bet
maths sir ka gussa computer sir ko bachane ki kamyabi
stage par khade hokar bolne ka saukh
dance gaana aur natak karne ka sapna
students of the year banne ka man
teacher ko dil se thanku bolne ka dar
class me saant baithne ki jarurat
samaj ke liye kuchh karne ka aag
hasi aati hai kitni bachhi thi mai
par aaj yaad krke achha lagta hai
kyuki bachpan tha yaadein thi meri
inke bina mai adhoori hoon
wo mai thi aaj to mai kathputli hoon
khud se banayi huyi is samaj ke liye.