...

16 views

woh....
dekha to dekhti rahi main
teri aankho me dubati rahi main
kash ki kabhi tu baat hi karta
ye sajeeshe karti rahi main
dekha toh dekhti rahi main

waha ho tum , yaha ho tum
lagata hai peecha kar rhe ho
raat me ho tum , din me tum
shayad yaad mujhe tum kar rhe ho
saath tere baithu aur baatein karu
bas ye khud se kehti gayi main
dekha to dekhti rahi main


kehte hai jo dil mein hai wo ho hi jata hai
Teri baatein dil kar hi jaata hai
aaj tak tujhe nahi socha
aaj jab sochti hu toh mera dil khush ho hi jata hai
hun galat ya hun sahi main
dekha toh dekhti rahi main

raah mein na mujhe mile tu
hai yakeen shayad hai abhi abhi tu
sham jaise thandak hai teri aankho mein
ye yakeen ab main tujhe dila du
na kehte kehte ye keh gayi main
dekha to dekhti rahi main


har subh teri hasi sochti main
har jagah , har satah dhundhti main
raat gayi laayi wo savera naya
ab tujhe dhundh khudh kho gayi main
dekha toh dekhti rahi main...