...

14 views

Bachpan ki galiyaan
Bahut yaad aati hain wo bachpan ki galiyan
Jinhe paidal hi naap aaya karte the
Wo dukaane aur dukaan waale
Jo Aaj bhi haal poochh lete hain
Wo cooler wali garmi
Wo rimjhim baarish
Aur wo maa ke shawl mein lipati sardiyan
Cycle seekhte hue girna aur Kuch din mein race lagate hue firna
Wo sham ko ghar se khelne nikalna
Khel khel mein ek nayee duniya banana
Ghar se school aur school se ghar
Chhoti si hi thi magar bahut pyari thi dagar
Scooter mein aage khade hoke horn bajana
Deepawali pe ghar ko diyon se sajana
Kapdo ki keemat kabhi ni poochhi
Kaise aaye ghar mein ye na sochi
Garmiyon ki chhutti m der raat tak baatein karna
Kisiko zaroorat ho to bina bole madad karna
Baarish ke jame pani mein nadiyon ka mazaa lena
Thithurti sardiyon mein thande hath dusro ko laga dena
Tyohaar kisika ho hum utne hi Khush hote the
Dukh kisike yahan bhi aaye hum bhi Rote the
Kanchon aur cards ki daulat se ameeri maapte the
Vyapar khelte hue khud hi apne note chhapte the
Aaj wahi kadam hai par galiyan soonsaan hai
Jo pehchaan sake dhoodhti wo insaan hai
Ghar sabke bade ho gaye
Do do maale khade ho gaye
Par un darwazo pe ab aata koi ni h
Hum sath h ye samjhata koi ni h
Chhote se sapne the kab bade ho gaye
Galiyan Chhodte hi Sab apne bhi chhoot gaye
Dil chahta h jeena wahi bachpan ke din
Sona raat m khule aasmaan ke neeche taare gin gin
Sapno ke liye Kuch keemat chukani padhti h
Pehchaan banane ke liye yaadein dil mein dabaani padhti h
© H@rshik@