...

4 views

Jo tu chhor gaya
Mein jab jab atka tune mujhe badhaya tha
Mein jab jab roya tune mujhe hasaya tha
Mein jab jab tuta tune mujhe sajaya tha
Mein jab jab hara tune mujhe jitaya tha
Vo tu hi to tha jisne jeena sikhaya tha

Tu chhor gaya
ab tujh par hi atka hu mein
Hansi le gaya tu meri
ab bas rota hu mein
Mein to sajna hi bhool gaya
ab esa toota hu mein
Tu khoya to tujhe
ab dhoondhta har baar hu mein
Iss zindagi ko jeet kar bhi
ab haar gaya hu mein
Tere bina jite hue bhi
ab mar gaya hu mein


© R.G. Bohra