...

13 views

save village
saher ghumta hai kalen chasme lagake ,gaav abb bhi nazar milata hai.
saher bimar hota hai davaon (drugs) se ,gaav bimari main bhi khud ko jila leta hai.
saher main log ghar se khali hath laut jate hai,gaav me bartan bhi khali nahi lota te
nakli chahere gaav me bhi hai lekin unki aankhe sachi hai,saher ke bitar ki shor se,gaav ki chakkio ki bukh-bukh acchi hai
gaav me muskarati hai phulgobhiya,saher me pahele baal range phir hari hui sabjiya
par dekha hai maine thoda sa saher bas raha hai gaav main,koi kar raha hai chupke se ched naav me,A.C. ki kami ginva raha hai pipal ki chaav me,pahiya palayan ka bandh liya hai paav me
meri duaa hai khub tarakki kare ye jamana,magar gaav ki lash pe sahar mat ugana🥺
saher basa ke gaav dhundhte hai,ajib pagal hai hath me kulhadi leke chhav dundhte hai😐🥺
aaj sahar ke rasto me sanata sa cha gaya hai,dekho mere gaav ki galiyon main aaj bhi wohi khushiya 6alakti hai

© feelshr❤️