...

2 views

Talaaash
Kya aapko bhi hai uski talaaash jaise mujhe hai,
Voh jo thodi Shararati ho,
Voh jo thodi Pagal si ho,
Voh jo thodi Chanchal si ho,

Jiske saath waqt ka pata na chale,
Jiske saath chand lamho ka guzaarna bilkul
Vaisa hi ho jaise aapka bachpan ka guzarna,

Jiske saath baatein karne ke liye aapko sochna na pade,
Jiske haath thaamne ke liye aapko hich-kichaana na pade,
Jiska maatha choomne se pehle aap dare nhi,
Aur usko uske ghar chor ne ke baad bhi uski gali se aap hile nhi,

Uski sulji huwi laton ko uljaana,
Uske paao mai chandi ki paayal pehnaana,
Uski baaliyon se khelna,
Uski betuki baaton pe muskuraana,
Uski zidd ke saamne sab kuch haar jaana,
Voh roote toh use manaana,
Voh jab gusse mai durr jaaye toh use apne kareeb laana,
Uspe Haqq jataana,
Pehla nivaala use khilaana,
Uski gaud mai sir rakhke thak haar kar so jaana,
Duniya ki nhi bus uski fikar karna,
Doston ke saamne bus uska zikr karna,

Kya aapko bhi Talaaash hai aise hi kisi ki?

© Aahaan