...

12 views

Meri Haar ka Saamna
Mai aaj fir har gyi....fir se haar ka saamna kr aai
Sbke ankho me fir nirasha le aai
Mai fir is kismat se haar aai..

Bachpan me school k us competition ne dimaag kharab kr dia Tha
Hmare bado k sapno ko or ucha kr dia Tha
Rishtedaaro ko to jala kr rakh dia Tha...
Apne hi maa baap k ghamand par pani fer aai..Mai aaj fir haar aai

Ugte Suraj ko sbki salami milti h
Aapne har haar par mujhe y baat smjhai
Par dubte suraj ki khubsurati kisi k nazar na aai
Vo asal me nai dubta
Par fir bhi hme dubta hua dikhta h
Koi to baat h uske dubne me.....

Vo har shaam dusri subh chamakne k lie dubta h
Uske chamak k aage sbka sir jhukta h
Meri bhi lalima us Suraj ki trh aaj Kam h
Is lie mujhe bolne ka aapke paas bhi dam h

par jis din chamkungi nazare Mila nai paoge
boli to dur ki baat h hath bhi Mila nai paoge
Uday ho chuki to Kya fir se dubungi
Apne haar k karib rah kr or bhi chamkna sikhungi

Meri chamak se nazre fir jhukengi tumhari
Par is Suraj k sath hi Mai khud ko samjhungi
Mana aaj haar gyi...par ek din jarur chamkungi

@mylearningdiaries
© mylearningdiaries