...

9 views

Mein
Aaj bhi tyaar hoon mein, zindagi ko badalne mein,
Aaj bhi hushiyaar hoon mein, zamane ko samajhne mein,

Kal ki jo ghalti hai, osko bhulana chahta hoon mein,
Kal se seekh kar, aaj behtar banana chahta hoon mein,

Kaash ke koi dekh sun le takleef jisme hoon mein,
Kaash ke koi galti na kare mujhe samajhne mein,

Gham tu nahi koi, bus ek khuwaish thi,
Ke chalo mein, apni rah mein,
Lekin ye zamane ko kon samjhae, Ke manzar khoofnak hain jisme hoon mein,

Jab jayenge yahan se hum, tu yaad nahi ayengen,
Ye duniya ki rivayat hai, jisko badal nahi sakta hoon mein.

© Ayish_Nad