...

12 views

Tum crush ho yaar
Aaj jhoothi taareef nhi karunga,
jo sach hai wahi kahunga..

Is baar jo tumse mila na,
Dil ko mere bada sukoon mila hai,
Lagta hai jaise zindagi jeene ka ,
Ek naya junoon mila hai....

Shayad tumhare liye,
Ye chand mulaqatein thi,
But mujhse poochho to,
Main to khayalon me tumse,
Aaj bhi milta rehta hoon,

Tumse Jo kehna hota hai, batana hota hai,
Wo to zuban tak bhi nhi laa pata,
Aur tumse kuchh aur hi,
Bakwas karta rehta hoon..

Tumhein lagta hoga ki,
Hum jyada baat nhi kartey,
Aur agar mujhse poochho to,
Maine to Nazron hi Nazron se,
Tumse sab kuchh keh diya...
Tum par to main pehle se hi fidaa tha,
Phir kyu tumne yun Apni nazron se,
Katle-Aam kar diya...

Jo Chand lamhein, Khoobsurat pal,
tumhare sath bitaaye hain na,
Wo main kabhi bhi nhi bhoolunga,
Jo hain mere andar khud se to keh diya hai,
Par kya tumse kabhi keh paunga?

Pehle Ishq se nafrat thi,
Ab har Ashiq se pyar ho gya hai,
Jaisa bhi ho jo bhi ho,
Tumse beshumar ho gya hai.......

© R raghav