Dard-e-zindagi
Zindagi tute huye shishe si hui
Har tukde me hari hui si dikhati hu main
Apne hi aks ko dekh harat si hui
Rok leti hu aakho me dariya ko main
Kabiliyat na thi mujhme koi
Isi dard ko piti hu har roz hi main
Koshishe jo ki wo adhuri si rahi
khafa hai zindagi ya hui khafa khudse hi main
Charmarate se rishte tutne ko huye
Dagmagate se raaste bhi chutne ko huye
Khwabo ki mahfil bhi manzil se duur hui
Majboor hui aankhe kholne ko main
Zakhm hai zindagi par jinki ginti bhi nahi
Fir bhi tute huye shishe ko chunti hu main
Karahta hai dil zuba khamosh hui
Hans kar fir bhi dard ko sanjoti hu main