...

24 views

SAFAR...
Safar lamba tha, par haseen bhi...
Thoda uljha hua, par rangeen bhi...
Kabhi zindagi ne kuch sikhaya
to kabhi such ka aaina dikhaya...

Har umra, wakt - bewakt hi sahi...
har wakt ko jeena chaiye...
khusiyo ko hi nahi, kabhi - kabhi
gum ko bhi peena chaiye !

ye zindagi ek taufa hai kismat ka...
har pal uske sukragujar raho!
wakt, mausam koi bhi badale
tum bus khud taiyaar raho...
tum bus khud taiyaar raho...


© nîkhīl